WordPress Par Site Kaise Banaye

WordPress Par Site Kaise Banaye

Abhi bhi Aise bahut se blogger hai jo wordpress install karna nahi jaante hai.To Yahi sab dekhke mai yah post likh raha hun is post me maine step by step bataya hoon ki Online paise kamane ke liye wordpress blog kaise banate hai?

Wordpress blog ko hum self hosted wordpress site bhi kahte hai.Means kisi bhi hosting server par wordpress blog install karna hi self hosted wordpress blog kahlata hai.



Wordpress site kaise banaye


 Agar Aap bhi wordpress site banana ja rahe hai to ye post Aapke liye bahut madadgar saabit hone wali hai kyuki is post me hum detail me jaanenge jisse sabhi ko ye post samaj me aayega Aaj ke samay me Bahut se aise blogger hai jo Internet se Lakhon ruupaye month kama rahe hai Lekin internet se paisa kamana itna bhi Aasan nahi hai Lekin haan Hard bhi nahi hai hai Agar Aap Hardwork karenge.


By the way Abhi bahut se log hai jo kahte hai Ki Jab hum blogspot par free me Apna blog create kar sakte hai to Paise spend karne ki kya Jarurat hai Yadi Aapke Mind me ye question Aa raha hai to maine Iska post pahle hi publish kar chuka hoon.Jisme Explain karke bataya hoon.




WordPress Blog Banane Ke Liye Kya Kya Hona Chahiye?


 
Agar aapko wordpress par Self-hosted website banani hai to aapke paas 3 cheejo ki jarurat padega jo maine niche bataya hai


*.Email ID.

*.Domain.

*.Hosting.


Email ID:WordPress blog create karne ke liye aapke paas apna khud ka email address hona bahut jaruri hai jise aap gmail par aasani se bana sakte hai.


Domain:Gmail id ke baad aapke paas ek better aur unique domain bhi hona chahiye tabhi aap wordpress install kar sakte hai Domain name aapko 99rs se lekar 600 rupaye tak me ek year ke liye mil jayega.


Jisko expire hone se pahle renewal bhi karna padta hai Aap apne blog ke liye domain Godaddy ya Bigrock dono me se kisi bhi site par Buy kar sakte ho.Yah dono bahut hi popular company hai Jo aapko bahut Kam Rate me domain name provide karte hai.


Hosting:Hosting kharidne me aapko thode jyada paise spend karne padenge kyuki hosting plan buy karne me aapko Lagbhag 2000 rs se lekar 4000rs tak spend karne pad sakte hai Kabhi kabhi kuch popular company hosting plans par bahut jyada discount bhi deti hai means hosting buy karne par aapko 50% tak ki bachat ho sakti hai.


Simple me kahun to yadi kisi Company ke hosting ka Rate 2000 hai to wah aapko 1000 me mil jayegi. Agar aap hosting lene wale hai to Hotsgator ya bluehost se le dono hi behtar hai.




Ab mai samajhta hoon ki aapke paas upar batayi gayi saari cheeje hai jaise Gmail address,Domain aur Hosting plan.To chaliye ab mai aapko Website banane ka tarika ya phir Website banane ka way step by step batata hoon.


WordPress Website Kaise Banaye?


Aksar jo new blogger rahta hai usko lagta hai ki wordpress par site banana bahut hard hai but yah bahuthi easy hai wordpress par koi bhi 10 minute me website bana sakta hai Apne liye wordpress site banane ke liye aapko apme hosting par wordpress install karna padta hai to chaliye ab time ka value rakhte huye mai aapko ye batata hoon ki wordpress install kaise kiya jata hai iske baare me step by step bataunga–


Step-1 Agar aapko apne hosting par wordpress blog install karna hai to sabse pahle apne hosting cPanel ko login kar lijiye. Lagbhag sabhi hosting companies ki wordpress install karne ki process same hoti hai Isliye koi tension lene ki jarurat nahi hai.Mai bluehost hosting use kar raha hoon aapne jo hosting buy kari hai.Uska account login kijiye Lekin yadi aapne apna domain hosting company se nahi kharida hai to aapko pahle apne Domain name ko hosting par point karna padega.


Step-2 Ab Aapka cPanel login ho jayega aur Website section me wordpress tool dikhayi dega us par click kar dijiye ya phir left side me search box me wordpress likhkar search karenge tab bhi aapko wordpress mil jayega us par click kar dijiye.


Install wordpress site


Step-3 Ab iske baad aapke saamne ek new page khulega jisme aapse domain name daalne ko kahega–


1.Apna domain select kijiye jis par blog create karna hai domain select karte waqt Note rahe www ya bina www me se koi bhi ek select karle.



Fill website domain name

2.Directory ko khali chod dijiye.


3.Next button par click kar dijiye.


Step-4 Ab aapke saamne ek aur new page open hoga jisme Admin Information ke baare me puchega.



1.Site Name me apne blog ka naam daal dijiye.


2.Admin Email Address me apni real email ID daaliye.


3.Admin Username me koi acha sa username sochkar daal dijiye.


4.Admin Password me strong password daal dijiye. (user name aur password ko apne paas note karke jarur rakhle. jisse baad me wordpress dashboard login karne me problem na ho.


5.Ab last me iske baad Install wordpress button par click kar dijiye.




Ab aapka wordpress blog install hone lagega install hone me thoda time lagta hai isliye apne browser par install hone se pahle kuch na kare jab successfully wordpress install ho jayega to aapko message show hoga.


Step-5


*.Iske baad yadi aapne apna blog without www wale domain par install kiya hai to wordpress login URL kuch is tarah hoga.


 http://yourblogurl.com/wp-admin


*.Yadi aapne www wale domain par  wordpress install kiya hai to wordpress dashboard login karne ke liye browser me ye URL open kare.


http://www.yourblogurl.com/wp-admin


Important Note: Lekin care rahe yourblogurl.com ki jagah apne blog URL jarur dale tabhi browser me open kare Iske baad Username aur password puchega jise fill karne ke baad aapke blog ka dashboard open ho jayega.


Agar Aapne hosting kisi dusre site se hosting li hai to pareshaan mat ho kyuki Lagbhag jitne bhi hosting provide companies un sabka hosting blog par install karne ka same tarika hai.

No comments

Powered by Blogger.