Youtube Videos Ko Blogger Post Me Kaise Add Karte Hai

Youtube Videos Ko Blogger Post Me Kaise Add Karte Hai

Youtube videos ko Blog post me kaise add (embed) kare? Bahut se blogger hai jo apne blog post me video ka istemal karte hai. Example ke liye aap wp beginner site ko dekh sakte hai uske sabhi post me video add rahta hai kyuki post me video use karne ke hume bahut se fayde hai isliye hume post me video jarur add karna chahiye.Agar baat kare ki hume kis type ke post me youtube videos add karna jaruri hai.


Blogger blog me Youtube videos kaise add kare


Mere according hume Simple post me video nahi use karna chahiye kyuki user post read karke aasani se samajh sakte hai. But agar koi post jyada lambi ho to aap uske main part ka video banakar bata sakte hai isse user post bhi padh lenge video bhi dekhenge to unko wah post samjhne me kafi aasani hogi.


Agar aap ye soch rahe hai ki youtube videos ko apne blog par lagana bahut hard hai to aap bilkul galat samaj rahe hai.YouTube videos ko blog post me add karna bahut hi simple hai.


Blog me video kaise add karna hai iske bare me mai aapko details me batane ja raha hu.Aap is post me niche diye gaye sabhi step follow karke 2 minute me Blog post me YouTube video add kar sakte ho.To chaliye jante hai ki Youtube videos ko Blog post me kaise add kare.




Youtube Videos Ko Blog Post Me Kaise Add (Embed) Kare.


Step 1:

Firstly aap YouTube par jaye uske baad aapko jo video blog post me add karna hai us video ko open kare.

1.Share par click kare.
2.Ab embed par click kare.
3.Ab is link ko copy kare.

How to add Youtube videos in blog post

Ab aapko YouTube video ka link to mil gaya hi hai. Ab aapko sirf is link ko blog post me add karna hai.
Step 2.


Apne Blogger blog par jaye Ab aapko apne jis post me link add karna hai use edit kare.


1.Html section par click kare.


2.Ab aapko jahan par bhi video dikhana hai wahan video ka

link jo aapne copy kiya tha

use paste karden.




Youtube Videos ko blogger post me kaise add kare



Html section me link Paste karne ke baad jab aap wapas compose section me jayenge to aapke youtube videos ka link add ho chuka hoga.



Agar aap jo video blog me add kare hai uski height aur width change karna hai to aap us link ko edit karke uski height aur width change kar sakte hai.Agar nahi samajh me aaya to Chaliye hum aapko ek example dekar bata den.







Aapke video ka link kuch is tarah hoga usme width aur height diya rahta hai aap use apne anusar customize kar sakte hai.Niche maine link me width aur height ko highlight kiya hai aap aise hi change kar sakte hai.



<iframe width=”420” height=”315” src=”https://www.youtube.com/embed/c9fq-UzLlw0″ frameborder=”0″ allowfullscreen></iframe





Aapke video ka link kuch is tarah hoga usme width aur height diya rahta hai aap use apne anusar customize kar sakte hai.Upar maine link me width aur height ko highlight kiya hai aap aise hi change kar sakte hai.





Congrates,Aapne blog post me video successfully add kar liya agar uski height aur width ko change karna hai to upar maine bataya hai aap usko bhi change kar sakte. 

No comments

Powered by Blogger.