AutoBlogging Kya Hota Hai?
AutoBlogging Kya Hota Hai?
Autoblogging Kya Hai?Aur Iske Fayde Nuksan
Autoblogging ka matlab Automatic blogging hota hai Ab Agar aap apne andaaj se yah soch rahe hai ki Automatic blogging ka matlab content apne aap update hote rahenge to aap bilkul sahi soch rahe ho kyuki isme aapko karna ye rahta hai ki agar aap ek baar auto blogging setup kar diye to uske baad aapke site me kisi dusre site ke rss se automatic new content publ ish hote rahenge Aur iska sabhi kaam software ya plugin ke dwara hota hai.
Maine upar bataya hai ki kisi dusre site ke content aapke site me publish hote rahenge to jahir hai ki aapke man me ye baat jarur aayi hogi ki kisi dusre ki site ke content aapke site par update honge to copyright mana jayega Isliye mai aapko bata dun ki jab aap koi autoblogging software ya plugin use karenge to usme content edit ka bhi option hoga Aap content ko thoda bahut edit kar denge to copyright nahi mana jayega.
Aur mai aapko ye bhi bata dun ki yah site ke feed se post daalta hai aur us site ko credit deta hai jisse copyright hone ka chance na ke barabar ho jata hai.
Agar aapka blog blogger platefrom par hai to aapko autoblogging setup karne ke liye IFTTT site se setup karna hoga Blogger par autoblogging karne ke liye mai jald hi alag se post likhunga.
Philhal Agar aapka blog wordpress platefrom par hai aur aap apne wordpress blog par autoblogging start karne ki soch rahe hai to iske liye aapko achi hosting le lijiye kyunki aapke blog par daily new content upload hote rahenge to isliye sabse pahle aap achi company se hosting le lijiye aur agar aap achi company ka hosting use kar rahe hai to koi baat nahi aap wahi hosting use kare Aapko apne site par autoblogging ko enable karne ke liye aap WP RSS Aggregator plugin ka use kar sakte ho.
Advantages And Disadvantages Of AutoBlogging:
Auto Blogging ke fayde:―
Apko maine upar hi sabkuch bata diya hai ki aapko jyada kuch nahi karna rahta hai kyuki autoblogging enable hone ke wajah se aapke site par Automatic posts publish hote rahenge to ab chaliye autoblogging ke fayde dekh lete hai.
*.Aapke website me daily new content publish hote rahenge.
*.Aur jab aapke site par daily new post update hote rahenge to manually apke site ki Google Ranking badhne lagegi.
*.Jab aapke site par daily new post update hogi aur google ranking badhegi to jaahir hai aapke blog par traffic aane lagenge to aap bahut se tariko se apne site se paise kama sakte ho.
*.Autoblogging un bloggero ke liye sabse best hai jinke paas blogging karne ke liye waqt nahi hota hai kyuki aapko post nahi likhna hai aapke site par apne aap content published hote rahenge.
Auto Blogging ke nuksan:
Dostoduniya me aisa koi bhi cheej nahi hai jiska sirf fayde hi ho har cheej ka fayde ke sath nuksan bhi hota hai usi tarah autoblogging ka bhi nuksan hai jo maine niche bataya hai.
*.Agar aapka site Adsense ki nazar me aa gaya to aapka adsence account suspend bhi ho sakta hai.
*.Aapke site par dusre site ka content publish hoga.
*.Aapke site ko Google ke dwara penalize bhi kiya ja sakta hai.
*.Aapke site ki SEO ranking increase nahi hogi.
*.Agar aapka blog Blogger par hai to kisi ke report karne par aapka band bhi ho sakta hai.
*.Jab aapke readers ko ata chalega ki aapka content duplicate hai to wo dubara aapke site par visit karne ki galti nahi karega.
Conclusion
Dosto maine is post me bataya hai ki Auto Blogging kya hota hai Aur iske kya kya fayde nuksan hai to aap is post ko read karke samajh gaye honge ki Autoblogging kya hai iske kya advantage hai aur kya disadvantage hai.
Ab aapko decide khud karna hai ki aapko autoblogging ka use apne blog par karna hai ki nahi karna hai. Aur rahi baat blogger blog par autoblogging start karne ka to mai jald hi iske baare me post likhunga aap wait kare.
Post a Comment