Blog Me Label Kaise Use Kare Post Categories Ke Liye

Blog Me Label Kaise Use Kare Post Categories Ke Liye


Blog me label use kaise kaise kare post category ke liye.

Label Kya Hai Aur Blog Me Label Kya Kaam Aate Hai?

Blogger me label ka kaam blog post ko Arrange karna hota hai. Jaise aap ne“Blogging” topic par 20 post ki hai to visitors ko kaise pata chalega ki blogging topic par kitni post hoti hai.

So blogger ne label ka option diya hua hai. Aap blogging ke naam se label bana kar blogging se related posts arrange kar sakte ho. Iske liye aapko post ki label banani padegi.

Blog Ki Post Me Label Kaise Lagate Hai?

Aap apne blog par new post likhte ho to right side me post settings option ke niche labels ka option hota hai. Wahan par click kare.



Aap kis topic se related post likh rahe ho ya wo likhe hai ex- blog, blogging, Facebook etc, every label ke bad “,”  jarur lagaye. Jab aapke blog me 10 – 15 label ho jati hai. To wo yahan show hogi aap yahan par click karke bhi label select kar sakte hai.

Blog Me Labels Use Karne Ka Tarika?

1.Blog me ek label 2-3 words se jyada word use na kare.

2. label ka nam aisa hona chahiye jise padhne se visitors aasani se samaj sake ki is topic par kaisi post milegi.

Blog Me Label Widget Kaise Add Kare?

Aapke post me label add karne ke bad label har post ke niche upar show hogi magar isme only usme post wali label hi show hoti hai isliye  labels ko ek jagah dikhane ke liye aapko blog me label widget use karna padega.

Step 1:

1.sabse pahle aap apne blog ke dashboard>>layout par jaye.

2.Ab blog ke right side (sidebar) me Add a Widget par click kare.

3.Ab aapke samne ek new popup windows open hogi usme Labels par click kare.



Step 2: Ab ek new window open hogi.



1.Title me Tags ya labels likhe.

2.Cloud par tick kare.

3.Ab aap Save par click kar ke Save Arrangement par click kare.

Label Ko Category Ki Tarah Kaise Use Kare?

Aap labels ko blog me category ki tarah use kar sakte hai.iske liye aapko blog ke menu me category add kar ke labels ka link add karna hoga. Lagbhag har visitors aapke blog ke menu bar topic par dhyan deta hai isliye apne blog ke menu me 4 – 5 important topic jarur add kare.

Blog Menu Me Label Kaise Use Kare?


1.Aap apne blog ke dashboard>>template>>Edit HTML par jaye.

2. Ab aapke blog ke menu me pahle se maujood kisi bhi topic ko search kare.

3.Search kiye gaye topic ki jagah apni pasand ka topic likhe.

4.Topic ke nam se pahle href=’#’ me # ki jagah topic se related label ka URL set kare. Isi tarah aap blog menu ke baaki topic set kar sakte ho.

Label Ka URL (Link) Kaise Pata Kare?

1.Aapko jis label ka URL pata karna hai Us par click kare.

2.Ab jo new window open hogi usme browser ke link box me jo link hoga wo aap 2 label ka link hai.

No comments

Powered by Blogger.